jaane us ne kyā dekhā shahr ke manāre meñ
phir se ho gayā shāmil zindagī ke dhāre meñ
ism bhuul baiThe ham jism bhuul baiThe ham
vo hameñ milī yaaro raat ik sitāre meñ
apne apne ghar jā kar sukh kī niiñd so jaa.eñ
tū nahīñ ḳhasāre meñ maiñ nahīñ ḳhasāre meñ
maiñ ne das baras pahle jis kā naam rakkhā thā
kaam kar rahī hogī jaane kis idāre meñ
maut ke darinde meñ ik kashish to hai 'sarvat'
log kuchh bhī kahte hoñ ḳhud-kushī ke baare meñ