munhadim hotī huī ābādiyoñ meñ fursat-e-yak-ḳhvāb hote
ham bhī apne ḳhisht-zāroñ ke liye āsūdgī kā baab hote
shahr-e-āzurda-fazā meñ ābgīnoñ ko ba-rū-e-kār laate
shaam kī in ḳhānumāñ vīrāniyoñ meñ sohbat-e-ahbāb hote
taaza o ġhamnāk rakhte aas aur ummīd kī sab koñpaloñ ko
aur phir hamrāhī-e-bād-e-shabāna ke liye mahtāb hote
ḳhud-kalāmī ke bhañvar meñ Dūbtī parchhā.īñ ban kar rah ga.e haiñ
is añdherī raat meñ ghar se nikalte to sitāra-yāb hote
ḳhāk-ālūda zamānoñ par barastī jhūmtī kaalī ghaTā.eñ
mausamoñ kī āb-o-ḳhāk-ārā.iyoñ se aa.ine sairāb hote