sub.h ke shor meñ nāmoñ kī farāvānī meñ
ishq kartā huuñ isī be-sar-o-sāmānī meñ
sūrmā jis ke kināroñ se palaT aate haiñ
maiñ ne kashtī ko utārā hai usī paanī meñ
sūfiya tum se mulāqāt karūñgā ik roz
kisī sayyāre kī jaltī huī uryānī meñ
maiñ ne añgūr kī beloñ meñ tujhe chuum liyā
kar diyā aur izāfa tirī hairānī meñ
kitnā pur-shor hai jismoñ kā añdherā 'sarvat'
guftugū ḳhatm huī jaatī hai jaulānī meñ