qindīl-e-mah-o-mehr kā aflāk pe honā
kuchh is se ziyāda hai mirā ḳhaak pe honā
har sub.h nikalnā kisī dīvār-e-tarab se
har shaam kisī manzil-e-ġhamnāk pe honā
yā ek sitāre kā guzarnā kisī dar se
yā ek piyāle kā kisī chaak pe honā
lau detī hai tasvīr nihāñ-ḳhāna-e-dil meñ
lāzim nahīñ is phuul kā poshāk pe honā
le aa.egā ik roz gul o barg bhī 'sarvat'
bārāñ kā musalsal ḳhas-o-ḳhāshāk pe honā