Sarvat Husain

kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diya

Sarvat Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1949-1996
kabhī teġh-e-tez supurd kī kabhī tohfa-e-gul-e-tar diyā
kisī shāh-zādī ke ishq ne mirā dil sitāroñ se bhar diyā
ye jo raushnī hai kalām meñ ki baras rahī hai tamām meñ
mujhe sabr ne ye samar diyā mujhe zabt ne ye hunar diyā
zamīñ chhoḌ kar nahīñ jā.ūñgā nayā shahr ek basā.ūñgā!
mire baḳht ne mire ahd ne mujhe iḳhtiyār agar diyā
kisī zaḳhm-e-tāza kī chaah meñ kahīñ bhuul baiThūñ na raah meñ
kisī naujavāñ kī nigāh ne jo payām vaqt-e-sahar diyā
mire saath būd-o-nabūd meñ jo dhaḌak rahā hai vajūd meñ
isī dil ne ek jahān kā mujhe rū-shanās to kar diyā
Top Urdushayar.com