gadā-e-shahr-e-ā.inda tahī-kāsa milegā
tajāvuz aur tanhā.ī kī had par kyā milegā
siyāhī phertī jaatī haiñ rāteñ bahr o bar pe
inhī tārīkiyoñ se mujh ko bhī hissa milegā
maiñ apnī pyaas ke hamrāh mashkīza uThā.e
ki in sairāb logoñ meñ koī pyāsā milegā
rivāyat hai ki ābā.ī makānoñ par sitāra
bahut raushan magar namnāk o afsurda milegā
shajar haiñ aur is miTTī se paivasta raheñge
jo ham meñ se nahīñ āsā.ishoñ se jā milegā
ridā-e-reshmī oḌhe hue guzregī mish.al
nashist-e-sañg pe har sub.h gul-dasta milegā
vo ā.īna jise ujlat meñ chhoḌ aa.e the sāthī
na jaane bād-o-ḳhāk-āsār meñ kaisā milegā
use bhī yaad rakhnā bād-bānī sā.atoñ meñ
vo sayyāra kanār-e-sub.h-e-fardā aa milegā
charā-gāhoñ meñ ruk kar āsmānī ghanTiyoñ ko
suno kuchh der ki vo zamzama-pairā milegā
usī kī vādiyoñ meñ tā.irān-e-rizq-jū ko
nasheman aur ujlī niiñd kā dariyā milegā
usī jā-e-namāz o raaz pe ik roz 'sarvat'
achānak dar khulegā aur vo jhoñkā milegā