achchhā sā koī sapnā dekho aur mujhe dekho
jaago to ā.īna dekho aur mujhe dekho
socho ye ḳhāmosh musāfir kyuuñ afsurda hai
jab bhī tum darvāza dekho aur mujhe dekho
sub.h ke ThanDe farsh pe gūñjā us kā ek suḳhan
kirnoñ kā guldasta dekho aur mujhe dekho
baazū haiñ yā do patvāreñ naav pe rakkhī haiñ
lahreñ letā dariyā dekho aur mujhe dekho
do hī chīzeñ is dhartī meñ dekhne vaalī haiñ
miTTī kī sundartā dekho aur mujhe dekho