usī kināra-e-hairat-sarā ko jaatā huuñ
maiñ ik savār huuñ koh-e-nidā ko jaatā huuñ
ramīdgī kā bayābāñ hai aur be-ḳhor-o-ḳhvāb
ġhubār kartā sukūt o sadā ko jaatā huuñ
qarīb hī kisī ḳheme se aag pūchhtī hai
ki is shikoh se kis qartaba ko jaatā huuñ
hazar ki dajla-e-dushvār par qadam rakhtā
shikār-gāh-e-furāt-o-fanā ko jaatā huuñ
kahāñ ga.e vo ḳhudāyān-e-dirham-o-dīnār
ki ik dafīna-e-dasht-e-balā ko jaatā huuñ
safārat-e-had-e-hairāngī pe huuñ māmūr
nigār-ḳhāna-e-husn-o-adā ko jaatā huuñ
vo din bhī aa.e ki inkār kar sakūñ 'sarvat'
abhī to ma.abad-e-hamd-o-sanā ko jaatā huuñ