vahīñ par mirā sīm-tan bhī to hai
usī rāste meñ vatan bhī to hai
bujhī ruuh kī pyaas lekin saḳhī
mire saath merā badan bhī to hai
nahīñ shām-e-tīra se māyūs maiñ
bayābāñ ke pīchhe chaman bhī to hai
mashaqqat bhare din ke āḳhīr par
sitāroñ bharī anjuman bhī to hai
mahaktī dahaktī lahaktī huī
ye tanhā.ī bāġh-e-adan bhī to hai