bhar jā.eñge jab zaḳhm to ā.ūñgā dobārā
maiñ haar gayā jañg magar dil nahīñ haarā
raushan hai mirī umr ke tārīk chaman meñ
is kunj-e-mulāqāt meñ jo vaqt guzārā
apne liye tajvīz kī shamshīr-e-barhana
aur us ke liye shāḳh se ik phuul utārā
kuchh siikh lo lafzoñ ko baratne kā salīqa
is shuġhl meñ guzrā hai bahut vaqt hamārā
lab khole parī-zād ne āhista se 'sarvat'
joñ guftugū kartā hai sitāre se sitārā