Sarvat Husain

aankhon mein saughat sameTe apne ghar aate hain

Sarvat Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1949-1996
āñkhoñ meñ sauġhāt sameTe apne ghar aate haiñ
bajre laage bandar-gāh pe saudāgar aate haiñ
zard zabūr tilāvat kartī hai tasvīr ḳhizāñ kī
ain-bahār meñ kaise kaise ḳhvāb nazar aate haiñ
gandum aur gulāboñ jaise ḳhvāb shikasta karte
dūr-darāz zamīnoñ vaale shahr meñ dar aate haiñ
shahzādī tujhe kaun batā.e tere charāg-kade tak
kitnī mehrābeñ paḌtī haiñ kitne dar aate haiñ
band-e-qabā-e-surḳh kī manzil un par sahl huī hai
jin hāthoñ ko aag churā lene ke hunar aate haiñ
Top Urdushayar.com