furāt-e-fāsila se dajla-e-duā se udhar
koī pukārtā hai dasht-e-nainavā se udhar
kisī kī nīm-nigāhī kā jal rahā hai charāġh
nigār-ḳhāna-e-āġhāz-o-intihā se udhar
maiñ aag dekhtā thā aag se judā kar ke
balā kā rañg thā rañgīni-e-qabā se udhar
maiñ raakh ho gayā tā.ūs-e-rañg ko chhū kar
ajiib raqs thā dīvār-e-pesh-pā se udhar
zamīn mere liye phuul le ke aatī hai
bisāt-e-ma.arka-e-sabr-āzmā se udhar
ye mere hoñT samundar ko chuum sakte haiñ
hikāyat-e-shab-e-afrād-o-ā.īna se udhar