thāmi huī hai kāhkashāñ apne haath se
ta.amīr kar rahā huuñ makāñ apne haath se
aayā huuñ vo zamīn o shajar DhūñDtā huā
khīñchī thī ik lakīr jahāñ apne haath se
husn-e-bahār mujh ko mukammal nahīñ lagā
maiñ ne tarāsh lī hai ḳhizāñ apne haath se
ā.īñe kā huzūr samundar lagā mujhe
kaaTā hai maiñ ne sail-e-girāñ apne haath se
'sarvat' hadaf bahut haiñ javānān-e-shahr meñ
rakkho abhī na tiir o kamāñ apne haath se