Idris Babar

kisi ke hath kahan ye KHazana aata hai

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
kisī ke haath kahāñ ye ḳhazāna aatā hai
mire aziiz ko har ik bahāna aatā hai
zarā sā mil ke dikhāo ki aise milte haiñ
bahut patā hai tumheñ chhoḌ jaanā aatā hai
sitāre dekh ke jalte haiñ āñkheñ malte haiñ
ik aadmī liye sham-e-fasāna aatā hai
abhī jazīre pe ham tum na.e na.e to haiñ dost
Daro nahīñ mujhe sab kuchh banānā aatā hai
yahāñ charāġh se aage charāġh jaltā nahīñ
faqat gharāne ke pīchhe gharānā aatā hai
ye baat chaltī hai sīna-ba-sīna chaltī hai
vo saath aatā hai shāna-ba-shāna aatā hai
gulāb cinema se pahle chāñd baaġh ke ba.ad
utar paḌūñgā jahāñ kārḳhāna aatā hai
ye kah ke us ne semester break kar Daalā
sunā thā aap ko likhnā likhānā aatā hai
zamāne ho ga.e dariyā to kah gayā thā mujhe
bas ek mauj ko kar ke ravāna aatā hai
chhalak na jaa.e mirā rañj merī āñkhoñ se
tumheñ to apnī ḳhushī ko chhupānā aanā hai
vo roz bhar ke ḳhalā.ī jahāz uḌāte phireñ
hameñ bhī raj ke tamasḳhur uḌānā aatā hai
pachās miil hai ḳhushkī se bahriya-town
bas ek ghanTe meñ achchhā zamāna aatā hai
break-dance sikhāyā hai naav ne dil ko
havā kā giit samundar ko gaanā aatā hai
mujhe defence kī lingua-franca na.iiñ aatī
tumheñ to sadr kā qaumī tarāna aatā hai
mujhe to ḳhair zamīñ kī zabāñ nahīñ aatī
tumheñ mirrīḳh kā qaumī tarāna aatā hai
Top Urdushayar.com