Idris Babar

dhum gum-gashta KHazanon ki machata phire kaun

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
dhuum gum-gashta ḳhazānoñ kī machātā phire kaun
in zamānoñ meñ jo the hī nahīñ jaatā phire kaun
baaġh meñ un se mulāqāt kā imkān bhī hai
sirf phūloñ ke liye lauT ke aatā phire kaun
siikh rakkhe haiñ parindoñ ne sab ashjār ke giit
āj-kal muuD hī aisā hai ki gaatā phire kaun
maiñ to kahtā huuñ yahīñ ġhaar meñ rah lo jab tak
vaqt pūchho hī nahīñ shahr basātā phire kaun
bhes badle hue ik shaḳhs kī ḳhātir hai ye sab
ham faqīroñ ke bhalā naaz uThātā phire kaun
ḳhvāb ya.anī ye shab-o-roz jise chāhiye hoñ
aa ke le jaa.e ab āvāz lagātā phire kaun
iḳhtilāfāt saroñ meñ haiñ gharoñ se baḌh kar
phir uThānī jo hai dīvār girātā phire kaun
Top Urdushayar.com