Wahab Danish

thakawaTon se baiTh ke safar utariye kahin

Wahab Danish

1930-2004
thakāvaToñ se baiTh ke safar utāriye kahīñ
balā se garm ret ho agar na mil sake zamīñ
kaho to is libās meñ tumhāre saath maiñ chalūñ
ġhubār oḌh lūñgā maiñ badan pe aaj kuchh nahīñ
batoñ kā ġhol ab yahāñ utar ke pā sakegā kyā
khaḌe ho tum jahāñ pe ab vo narm jhiil thī nahīñ
khule hue makān meñ adā bhī terī ḳhuub hai
zabāñ se qufl kī talab kalīd zer-e-āstīñ
tamām umr pā-ba-gil na jañgaloñ se mil sakā
daraḳht zard haal sā jo ab bhī hai khaḌā yahīñ
vo rañg kā hujūm sā vo ḳhushbuoñ kī bhiiḌ sī
vo lafz lafz se javāñ vo harf harf se hasīñ
abhī bhī is makān meñ palañg taḳht mez hai
ga.e jo sair ke liye to phir na aa sake makīñ
Top Urdushayar.com