har raushnī kī buuñd pe lab rakh chukī hai raat
baḌhne lage zamīñ kī taraf tīrgī ke haat
jañgal khaḌe haiñ bhed ke aur ajnabī shajar
shāḳheñ nahīñ salīb ki dushvār hai najāt
ho ke kabhī udaas yahāñ baiThtā to thā
chal ke kisī daraḳht se pūchheñ to us kī baat
hāthoñ meñ gar nahīñ to nigāhoñ ko dījiye
us sāhib-e-nisāb-e-badan se koī zakāt
in parbatoñ ke biich thī mastūr ik guphā
patthar kī narmiyoñ meñ thī mahfūz kā.enāt