Idris Babar

yahan se chaaron taraf raste nikalte hain

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
yahāñ se chāroñ taraf rāste nikalte haiñ
Thahar Thahar ke ham is ḳhvāb se nikalte haiñ
kisī kisī ko hai tahzīb-e-dasht-ārā.ī
ka.ī to ḳhaak uḌāte hue nikalte haiñ
yahāñ rivāj hai zinda jalā diye jaa.eñ
vo log jin ke gharoñ se diye nikalte haiñ
ajiib dasht hai dil bhī jahāñ se jaate hue
vo ḳhush haiñ jaise kisī baaġh se nikalte haiñ
ye log so rahe hoñge jabhī to aaj talak
zarūf-e-ḳhāk se ḳhvāboñ bhare nikalte haiñ
sitāre dekh ke ḳhush huuñ ki roz merī tarah
jo kho ga.e haiñ unheñ DhūñDne nikalte haiñ
Top Urdushayar.com