Irshad Husain Kazmi

chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun

Irshad Husain Kazmi

chalo us bevafā ko maiñ bhulā kar dekh letā huuñ
ye sho.ale ḳhushk pattoñ meñ chhupā kar dekh letā huuñ
kisī sūrat guzishta sā.atoñ ke naqsh miT jaa.eñ
maiñ dīvāroñ se tasvīreñ haTā kar dekh letā huuñ
jo itnī paas haiñ vo sūrateñ dhuñdlā.e.gī kaise
ḳhud apnī saañs shīshe par lagā kar dekh letā huuñ
bahut dil ko satātā hai agar be-ḳhānumāñ honā
to kuchh lamhe havā meñ ghar banā kar dekh letā huuñ
ye mumkin hai use bhī is se ho kuchh duur kī nisbat
maiñ aane vaalā har patthar uThā kar dekh letā huuñ
tavaqqo hai ki shāyad vo yūñhī pahchān le mujh ko
use is ke purāne ḳhat dikhā kar dekh letā huuñ
mire ġham kī ḳhabar 'irshād' duniyā ko huī kaise
bhare tālāb meñ kañkar girā kar dekh letā huuñ
Top Urdushayar.com