Irshad Husain Kazmi

aane lagi hai zahr ki KHushbu shumal se

Irshad Husain Kazmi

aane lagī hai zahr kī ḳhushbū shumāl se
jhalkegā rañg ḳhuun kā asr-e-zavāl se
haiñ darj aane vaalī rutoñ ke hisāb meñ
patte jhaḌe hue shajar-e-māh-o-māl se
ḳhvāhish ke kārobār kī rasmeñ badal ga.iiñ
milte haiñ phuul baḌh ke ḳhud apne ma.aal se
gul-dān meñ sajī huī kaliyoñ ko kyā ḳhabar
kyā pūchhtī hai bād-e-sabā Daal Daal se
zāhir haiñ pairahan kī sapedī se tiin rañg
ḳhushbū kī ābshār-e-ravāñ sabz shaal se
pardoñ kī sarsarāhaTeñ būñdoñ ke ral-taral
khultā hai dar havā-e-shab-e-barshgāl se
tū hī hujūm-e-shahr meñ pahchān le mujhe
maiñ āshnā nahīñ huuñ tire ḳhadd-o-ḳhāl se
ab tak harīf-e-sañg samajhtā thā maiñ use
ye aa.ina to TuuT gayā dekh bhaal se
andhoñ kī anjuman meñ jalāte ho mish.aleñ
irshād kuchh na pāoge kasb-e-kamāl se
Top Urdushayar.com