Irshad Husain Kazmi

Dhalwan par gulab tarai mein ghas hai

Irshad Husain Kazmi

Dhalvān par gulāb tarā.ī meñ ghaas hai
is ḳhitta-e-chaman ko mire ḳhuuñ kī pyaas hai
mausam kī āñdhiyoñ meñ bikhar jaa.e TuuT kar
is kārgāh-e-shīsha-garī ko ye raas hai
maiñ jāntā huuñ sharm se bojhal nigāh ko
ye nañgī ḳhvāhishoñ kā purānā libās hai
jo bujh chukā us ek sitāre kī raushnī
ab bhī savād-e-shahr-e-dil-o-jāñ ke paas hai
hai yaad aaj bhī unhī hoñToñ kā zā.iqa
hāthoñ meñ ab bhī us ke pasīne kī baas hai
dīvār par lagī huī tasvīr dekhnā
maazī kī dāstān kā ye iqtibās hai
ThiThurī huī hai ruuh chamaktā hai āftāb
donoñ ke darmiyān fasīl-e-havās hai
qasr-e-suḳhan meñ kholiye lafzoñ kī khiḌkiyāñ
is daur meñ bas ik yahī rāh-e-nikās hai
'irshād' saarī kāvisheñ bekār mahz haiñ
sarmā kī raat se tujhe hiddat kī aas hai
Top Urdushayar.com