nazar jin kī ulajh jaatī hai un kī zulf-e-pechāñ se
vahī baḌh kar lipaT jaate haiñ aksar mauj-e-tūfāñ se
agar sharmā rahā hai mehr-e-tābāñ husn-e-jānāñ se
shafaq bhī to ḳhajil hai surḳhi-e-ḳhūn-e-shahīdāñ se
mire josh-e-junūñ ko chheḌtā hai kis liye hamdam
uTheñgī āñdhiyāñ lākhoñ ishāre haiñ bayābāñ se
Dubo kar dekh kashti-e-tamannā bahr-e-hastī meñ
ubhar aa.egā ḳhud sāhil kisī nau-ḳhez tūfāñ se
mujhe marnā mubārak bas tamannā hai to itnī hai
bujhā deñ vo charāġh-e-zindagī ḳhud apne dāmāñ se
sambhal kar rahravān-e-rāh-e-ulfat saḳht manzil hai
sadā.eñ aa rahī haiñ aaj tak gor-e-ġharībāñ se
hujūm-e-yās hī 'iqbāl' tamhīd-e-masarrat hai
ḳhushī kā baab khultā to hai lekin ġham ke unvāñ se