Iqbal Husain Rizvi Iqbal

TukDe TukDe mera daman-e-shakebai hai

Iqbal Husain Rizvi Iqbal

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1933
TukḌe TukḌe mirā dāmān-e-shakebā.ī hai
kis qadar sabr-shikan aap kī añgḌā.ī hai
dil ne jazbāt-e-mohabbat se ziyā paa.ī hai
merī tanhā.ī bhī ik anjuman-ārā.ī hai
ab jafā se bhī gurezāñ haiñ vo allāh allāh
dekhiye kyā mirā anjām-e-shakebā.ī hai
bijliyāñ mere qafas par na kahīñ TuuT paḌeñ
kyuuñ sabā ḳhaak nasheman kī yahāñ laa.ī hai
bas vahī bahr-e-mohabbat kā shanāvar niklā
jis ne tūfāñ se ulajhne kī qasam khaa.ī hai
shauq se aap zamāne ko navāzeñ lekin
kyā koī merī tarah aap kā shaidā.ī hai
kaun hamdard zamāne meñ hai 'iqbāl' magar
un kī ik yaad faqat monis-e-tanhā.ī hai
Top Urdushayar.com