nigāhoñ se merī nigāheñ bachā.e
chale aa rahe haiñ vo tūfāñ uThā.e
lahū dil kā ashkoñ meñ kyuuñ aa na jaa.e
kahāñ tak koī rāz-e-ulfat chhupā.e
usī kī hai duniyā usī kā zamāna
jo sab kuchh haTā kar kabhī kuchh na paa.e
abhī kuchh hai baaqī nishān-e-nasheman
kaho barq se aur abhī zulm Dhaa.e
chale ā.eñge ḳhud vo betāb ho kar
junūn-e-mohabbat mirā baḌh to jaa.e
nirāle haiñ rasm-o-rivāj-e-mohabbat
vahī paar hotā hai jo Duub jaa.e
rahā ek aalam na 'iqbāl' apnā
kabhī ro diye to kabhī muskurā.e