mirī nazar se jo nazreñ bachā.e baiThe haiñ
ḳhabar bhī hai unheñ kyā gul khilā.e baiThe haiñ
hazār baar jale jis se bāl-o-par apne
usī charāġh se ham lau lagā.e baiThe haiñ
jo shāḳh shoḳhī-e-barq-e-tapāñ se hai mānūs
usī pe aaj nasheman banā.e baiThe haiñ
phir us ke vāda-e-fardā kā ho yaqīñ kaise
hazār baar jise āzmā.e baiThe haiñ
shab-e-firāq kī ham tīrgī se ghabrā kar
charāġh-e-zaḳhm-e-ġham-e-dil jalā.e baiThe haiñ
use hijāb kahūñ yā kahūñ pashemānī
mire mazār pe vo sar jhukā.e baiThe haiñ
ham ek qatra-e-qalb-e-hazīñ meñ ai 'iqbāl'
ġham-e-hayāt ke tūfāñ chhupā.e baiThe haiñ