Iqbal Husain Rizvi Iqbal

dil-e-muztar ko hum kuchh is tarah samjhae jate hain

Iqbal Husain Rizvi Iqbal

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1933
dil-e-muztar ko ham kuchh is tarah samjhā.e jaate haiñ
ki vo bas aa rahe haiñ aa hī pahuñche aa.e jaate haiñ
nigāh-e-shauq ke parvarda nazzāroñ kī mahfil meñ
ye dil bahle na bahle haañ magar bahlā.e jaate haiñ
ba-zāhir to bahut nāzuk haiñ dil ahl-e-mohabbat ke
yahī shīshe kabhī patthar se bhī Takrā.e jaate haiñ
hañsā karte the sun kar dāstān-e-qais bachpan meñ
javāñ ho kar isī qissa ko ham dohrā.e jaate haiñ
vo duzdīda nigāheñ hoñ ki ḳhanjar-āzmā abrū
mohabbat kī har ik manzil pe rahzan paa.e jaate haiñ
bharī mahfil meñ sab se haiñ muḳhātab be-hijābāna
magar bas ek ham haiñ jin se vo sharmā.e jaate haiñ
ḳhayāl-e-ujrat-e-mauhūm par 'iqbāl' duniyā meñ
ye ham se zindagī ke bojh kyuuñ uThvā.e jaate haiñ
Top Urdushayar.com