āñkhoñ ko intishār hai dil be-qarār hai
ai aane vaale aaqā tirā intizār hai
bālīñ pe vaqt-e-naz.a koī sharmsār hai
ai zindagī palaT ki tirā intizār hai
allāh rī ye nazākat-e-yak-jalva-e-nigāh
ḳhud un kā husn un kī tabī.at pe baar hai
jiine pe iḳhtiyār na marne pe iḳhtiyār
sadqe is iḳhtiyār ke kyā iḳhtiyār hai
qismat judā sahī pa haqīqat to ek hai
jo sham-e-bazm hai vahī sham-e-mazār hai
tum duur ho to laakh bahāreñ bhī haiñ ḳhizāñ
tum paas ho agar to ḳhizāñ bhī bahār hai
iqbāl aaj shahr-e-nigārāñ meñ merā dil
is par nisār hai kabhī us par nisār hai