Iqbal Husain Rizvi Iqbal

pata hun iztirab ruKH-e-pur-hijab mein

Iqbal Husain Rizvi Iqbal

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1933
paatā huuñ iztirāb ruḳh-e-pur-hijāb meñ
shāyad chhupā hai dil mirā un kī naqāb meñ
sū-e-falak vo dekheñ agar pech-o-tāb meñ
barpā ho hashr gahan lage āftāb meñ
vo chāñdnī meñ ruḳh se haTā deñ agar naqāb
lag jaa.eñ chār-chāñd ruḳh-e-māhtāb meñ
ai nā-ḳhudā-e-kashtī-e-dil dekh-bhāl ke
tūfāñ chhupe na hoñ kahīñ qalbe-habāb meñ
sabr-āzmā nigāhoñ kā sadqa idhar bhī dekh
phir kuchh kamī sī paatā huuñ ab iztirāb meñ
ik tum hī aa.e dard kī duniyā basā ga.e
varna rahā thā kyā dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ
'iqbāl' in kī mast-nigāhoñ kā faiz hai
merā jahān-e-shauq hai Duubā shabāb meñ
Top Urdushayar.com