bahār kī dhuup meñ nazāre haiñ us kināre
safed paanī ke sabz dhāre haiñ us kināre
vahāñ kī sub.hoñ kā rañg hai fāḳhtāoñ jaisā
hameshgī ke nishān saare haiñ us kināre
fazā farishtoñ ke nuur se jagmagā rahī hai
dhule hue āsamān saare haiñ us kināre
vahāñ kī rātoñ meñ ḳhvāb haiñ kīmiyā-garoñ ke
ravāñ mirī ruuh ke sitāre haiñ us kināre
fazāoñ meñ kashf ke diye jhilmilā rahe haiñ
havāoñ meñ ġhaib ke ishāre haiñ us kināre
vahāñ hai faizān āsmāñ kī ziyāfatoñ kā
falak ne ne.amat ke ḳhvāñ utāre haiñ us kināre
vahāñ haiñ añgūr ke chaman deviyoñ ke darshan
bahisht ke ehtimām saare haiñ us kināre
kisān dil-shād khet ābād haiñ vahāñ ke
safed bheḌeñ haiñ sabz chāre haiñ us kināre
yahāñ ye ḳhāmosh mātamī sogvār sāhil
vahāñ gaDariyoñ ke giit pyāre haiñ us kināre