dost kuchh aur bhī haiñ tere alāva mire dost
ka.ī sahrā mire hamdam ka.ī dariyā mire dost
tū bhī ho maiñ bhī huuñ ik jagah pe aur vaqt bhī ho
itnī gunjā.isheñ rakhtī nahīñ duniyā mire dost!
terī āñkhoñ pe mirā ḳhvāb-e-safar ḳhatm huā
jaise sāhil pe utar jaa.e safīna mire dost!
ziist be-ma.anī vahī be-sar-o-sāmānī vahī
phir bhī jab tak hai tirī dhuup kā saayā mire dost!
ab to lagtā hai judā.ī kā sabab kuchh bhī na thā
aadmī bhuul bhī saktā hai na rastā mire dost!
raah takte haiñ kahīñ duur ka.ī sust charāġh
aur havā tez huī jaatī hai achchhā mire dost!