Saib Asmi

jo shikayat-e-gham-e-zindagi kabhi lab par apne na la sake

Saib Asmi

jo shikāyat-e-ġham-e-zindagī kabhī lab par apne na lā sake
vo shab-e-firāq kī dāstāñ bhalā kyā kisī ko sunā sake
ka.ī sar se guzrīñ qayāmateñ paḌīñ ham pe laakh musībateñ
diiñ falak ne kitnī aziyyateñ tumheñ dil se ham na bhulā sake
tū vafā-shanās zarūr hai ye tamām apnā qusūr hai
ye ajab junūñ kā ġhurūr hai tire āstāñ pe na jā sake
vahī dard-e-dil kī hai dāstāñ jo hamesha dil meñ rahe nihāñ
kare ek baar koī bayāñ to zamāne-bhar ko rulā sake
Top Urdushayar.com