dil iztirāb meñ hai jigar iltihāb meñ
dekhā hai jab se maiñ ne kisī ko naqāb meñ
khul jaane meñ vo kaif aur vo dilkashī kahāñ
hai jab kisī kī sharm-o-hayā-o-hijāb meñ
maiñ khīñchtā huuñ haath sukūñ kī talāsh se
jab dekhtā huuñ ek jahāñ ko azaab meñ
ai shaiḳh kaash tū bhī kabhī pī ke dekhtā
hai talḳhī-e-hayāt kā darmāñ sharāb meñ
ye shoḳhiyāñ ye ġhaflateñ ye hoshyāriyāñ
andāz sau tarah ke haiñ tere shabāb meñ
kyā aaj bhī raheñgī sitāroñ se chashm-gīñ
kyā aaj bhī na ā.eñge vo māhtāb meñ
ik ik adā-e-husn hamārī nazar meñ hai
ulfat kī chāshnī hai nigāh-e-itāb meñ
'sā.ib' na pūchh hāl-e-dil-e-ġham-zadah na pūchh
har saañs merī in dinoñ hai iztirāb meñ