sunā ke rañj-o-alam mujh ko uljhanoñ meñ na Daal
thakan kā ḳhauf mire azm kī ragoñ meñ na Daal
maiñ is jahān ko kuchh aur denā chāhtā huuñ
tū kār-e-vaqt ke pur-haul chakkaroñ meñ na Daal
malūl dekh ke tujh ko maiñ ruk na jā.ūñ kahīñ
ḳhudārā! hijr kī shiddat ko āñsuoñ meñ na Daal
tirī bhalā.ī kī ḳhātir mujhe utārā gayā
mujhe lapeT ke kapḌoñ meñ tāqchoñ meñ na Daal
ye hijrateñ to muqaddar haiñ aur mashġhala bhī
tū be-gharī ke havāle se vasvasoñ meñ na Daal