kyā zarūrī hai shā.erī kī jaa.e
dil jalā kar hī raushnī kī jaa.e
ba.az chehre bahut hasīn sahī
phir bhī kitnoñ se dostī kī jaa.e
ik musalsal shikast kā ehsās
aisī ḳhvāhish na phir kabhī kī jaa.e
ye mohabbat ke jo taqāze haiñ
in taqāzoñ meñ kuchh kamī kī jaa.e
ab bhī kuchh log ye samajhte haiñ
zahr pī kar hī ḳhud-kushī kī jaa.e
maiñ ne ye faisla kiyā hai 'nashāt'
faisloñ meñ bhī ab kamī kī jaa.e