Idris Babar

KHemgi-e-shab hai tishnagi din hai

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
ḳhemgī-e-shab hai tishnagī din hai
vahī dariyā hai aur vahī din hai
is qadar mat udaas ho jaise
ye mohabbat kā āḳhirī din hai
ik diyā dil kī raushnī kā safīr
ho mayassar to raat bhī din hai
ḳhaak uḌāte kahāñ pe jāoge
ab to ye dasht bhī koī din hai
shaam aa.egī shab Darā.egī
tū abhī lauT jā abhī din hai
aur vo baam se utar bhī gayā
log samjhe the vāqa.ī din hai
mehrbāñ shab kī raah meñ 'bābar'
abhī ik aur ajnabī din hai
Top Urdushayar.com