Asifa Nishat

hamare beach ghazab ka mukalima hua tha

Asifa Nishat

hamāre beach ġhazab kā mukālima huā thā
phir us ke baad ye sochā gayā ki kyā huā thā
na sirf talḳh bahut thā vo nīlgūñ bhī thā
mujhe to shak hai samundar meñ kuchh milā huā thā
vo ḳhat jo paḌhne se pahle hī maiñ ne phaaḌ diyā
agarche naam thā mere magar khulā huā thā
mujhe kahānī meñ kirdār kuchh milā aisā
the jis ke haath to āzād muñh bañdhā huā thā
akelī rah ga.ī donoñ hī mar ga.e jin meñ
mire husūl kī ḳhātir muqābla huā thā
zarā qarīb jo aayā use Dubo deñge
samundaroñ kā kisī se muāhida huā thā
chalo vo duur rahegā to bhuul jā.egā
zarā sī der mujhe ye muġhālta huā thā
jab apnī quvvat-e-goyā.ī kho chukī hai 'nishāt'
to koī aur batā de ki us ko kyā huā thā
Top Urdushayar.com