daryāft kar liyā hai basāyā nahīñ mujhe
sāmān rakh diyā hai sajāyā nahīñ mujhe
kaisā ajiib shaḳhs hai uTh kar chalā gayā
barbād ho gayā to batāyā nahīñ mujhe
vo mere ḳhvāb le ke sirhāne khaḌā rahā
maiñ so rahī thī us ne jagāyā nahīñ mujhe
baazī to us ke haath thī phir bhī na jaane kyuuñ
mohra samajh ke us ne baḌhāyā nahīñ mujhe
us ne hazār ahd-e-mohabbat ke bāvajūd
jo raaz pūchhtī huuñ batāyā nahīñ mujhe
vo intihā-e-shauq thī yā intihā-e-zabt
tanhā.ī meñ bhī haath lagāyā nahīñ mujhe