Amir Nazar

jabin ko chain kahan zer-e-lab dua hai bas

Amir Nazar

Patna, Bihar, India

1990
jabīñ ko chain kahāñ zer-e-lab duā hai bas
talab kī chaah kā ik tū hī aasrā hai bas
makīn-e-ḳhāk faqat shor-o-shar meñ Duube haiñ
hayāt kyā hai ki ārā.ish-e-qazā hai bas
hisār-e-aks se nikleñ to apnī socheñ ham
abhī to pesh-e-nazar raqs-e-ā.ina hai bas
shu.ūr kahtā hai us ko utārnā hogā
urūs-e-vaqt pe pairāhan-e-anā hai bas
ye ahl-e-fikr se kah do ki vus.at-e-imkāñ
abhī bhī pā-e-tasavvur kā naqsh-e-pā hai bas
ḳhirad ke bas meñ nahīñ dūsre kā ġham 'āmir'
ġhalat samajh hai junūñ ek valvala hai bas
Top Urdushayar.com