khulā hai tere badan kā bhī isti.āra kuchh
bayān-e-harf-o-navā pairahan tumhārā kuchh
ġhubār-e-gard meñ gum thā sahar kā mīnāra
shafaq ke saath huā phir bhī āshkāra kuchh
tilsim-e-shab kī fasīloñ ko toḌ Dālegā
sutūn-e-vaqt pe bujhtā huā sitāra kuchh
sukūt-e-shām kā manzar badalne vaalā hai
mirī nigāh kā hai aks paara paara kuchh
nishān-e-zīst abhī kaise raushnī paa.e
ki tīrgī kā muqaddar meñ hai ijāra kuchh
ḳhabar thī shīsha-e-hairāñ pe baal aa.egā
junūñ ke darmiyāñ chehre ko yuuñ utārā kuchh
yaqīñ ke baam se 'āmir' dikhā.ī detā hai
gumāñ kī raakh meñ poshīda hai sharāra kuchh