Amir Nazar

KHamoshiyon ko aalam-e-aswat par kabhi

Amir Nazar

Patna, Bihar, India

1990
ḳhāmoshiyoñ ko ālam-e-asvāt par kabhī
pheñkā gayā thā shor-e-hikāyāt par kabhī
kyuuñ mere iḳhtiyār se bāhar nikal ga.iiñ
āñkheñ thiiñ apnī aks-e-mazāfāt par kabhī
aur us ke ba.ad diid kā manzar simaT gayā
zāhir huā thā sho.ala ḳharābāt par kabhī
tū merī dastaras meñ rahegā yaqīn hai
duniyā nahīñ sahī to samāvāt par kabhī
aks-e-ḳhudī kā jaama pahan kar nikal gayā
ubhrā jo naqsh rū-e-ḳhayālāt par kabhī
'āmir' ab intishār kī parchhā.iyāñ tamām
thā lamha-e-sukūn makānāt par kabhī
Top Urdushayar.com