darpesh to haiñ dīda-e-hairān hazāroñ
sūraj kā badan tere nigahbān hazāroñ
māyūs nahīñ haiñ dar-e-zulmat kī fasīleñ
maanā ki munavvar hue aivān hazāroñ
khultā hī rahā zer-e-nazar rañg-e-tamāshā
nuqte se tarāshe ga.e imkān hazāroñ
kab tak maiñ jhaTaktā rahūñgā ḳhār-e-barahnā
dāman se haiñ chaspāñ gul-e-bohtān hazāroñ
dīvār-e-ġham-e-jāñ bhī tirī ḳhair nahīñ hai
mismār hue gumbad-e-paimān hazāroñ
jab dast-e-tamāzat ne kiyā ret ko gulbun
dar-chashm utar aa.e bayābān hazāroñ
ik shab ke sitāroñ se nahīñ thī mirī nisbat
'āmir' abhī tābinda haiñ pahchān hazāroñ