aa jaa.e vo milne to mujhe īd-mubārak
mat aa.e ba-har-hāl use īd-mubārak
aisā ho sab insān hoñ ḳhush itne ki har roz
ik dūsre se kahtā phire īd-e-mubārak
haañ mujh se jise jis se mujhe jo bhī gila ho
ābād rahe shaad rahe īd-e-mubārak
tanhā.ī sī tanhā.ī ki dīvār bhī shashdar
ab khul ke kahe yā na kahe īd-e-mubārak
sargoshī ne patthar ko sabaq yaad dilāyā
paanī ne likhā ā.īne pe īd-e-mubārak
tum jo mire sheroñ ke muḳhātib the na hoge
āḳhir meñ tumheñ sirf tumhe īd-mubārak