sahar kī jumbish qad-e-matānat pe rah ga.ī thī
qafas kī talḳhī lab-e-shikāyat pe rah ga.ī thī
zamīñ pe sho.alāt ug rahe thī magar vo chup thī
shuā-e-tīra libās-e-vahshat pe rah ga.ī thī
tanāb-e-shah-rag ukhāḌ Daalī ġham-e-sukūñ ne
hayāt duniyā kī ḳhasta hālat pe rah ga.ī thī
fasīl-e-shashdar ke baam par ho rahī hai afshāñ
jo sham-e-sā.at jabīn-e-hasrat pe rah ga.ī thī
bisāt gardish ke dā.eroñ meñ simaT chukī thī
magar vo zauq-karam kī vus.at pe rah ga.ī thī
ḳhirad ke pahlū kī sahmī sahmī nigāh 'āmir'
sutūn-e-be-dar kī tañg qāmat pe rah ga.ī thī