yuuñ to bikhre the magar kuchh to kahīñ par kuchh thā
ziist ke raqs kā ilzām hamīñ par kuchh thā
saañs be-rabt huī āḳhirash ā.īne meñ
aks kā bāb-e-asar lauh-e-jabīñ par kuchh thā
sañg-andāz nigāheñ bhī shikasta Thahrīñ
zabt kā baar bhī to dosh-e-makīñ par kuchh thā
ab ke shāyad ye mirī tishna-labī jumbish de
tāb-e-hasrat lab-e-be-rañg zamīñ par kuchh thā
raushnī kāsa-ba-dast aa.ī hai ḳheme kī taraf
ya.anī darvesh kī dīvār-e-yaqīñ par kuchh thā
saf-ba-saf dañg-e-nigāhī the sarāpā gardūñ
chādar-e-ḳhāk-numā arsh-e-barīñ par kuchh thā
jazba-e-tauq-o-salāsil hai salāmat 'āmir'
us kā ehsās-e-hasīñ taḳht-nashīñ par kuchh thā