dasht ke ḳhema-e-dariyā meñ makīñ koī thā
tishnagī tere tamāshe meñ kahīñ koī thā
zindagī jāma-e-taskīn meñ raḳhshanda thī
duur tak halqa-e-dāmāñ meñ nahīñ koī thā
kitnī rāhoñ kā safar dīda-e-im.āñ ne kiyā
qābil-e-dīd safar-bār yahīñ koī thā
vaqt se manzar-e-saffāk tarāshā na gayā
dīda-e-tar meñ tire gosha-nashīñ koī thā
sho.la-e-fahm tahī-dast bhī hotā kaise
mauj-e-idrāk kī shah-e-rag ke qarīñ koī thā
qufl darvaza-e-chāhat kā na kholā tū ne
tere darbār meñ daryūza-jabīñ koī thā
qatra-e-ḳhūn kī tābish pe shafaq hairāñ hai
phir hathelī pe liye sham-e-yaqīñ koī thā
donoñ aalam ko nikhārā hai zamīñ par 'āmir'
āsmāñ par thā koī zer-e-zamīñ koī thā