hamāre chehroñ meñ pinhāñ haiñ zāviye kyā kyā
dabī zabān meñ kahte haiñ aa.ine kyā kyā
jabīn-e-ḳhāk tujhe maiñ ne ḳhuuñ se sīñchā thā
magar ye tū ne dikhā.e haiñ dā.ere kyā kyā
hamāre sar kī bulandī pe vaqt hairāñ hai
chakhe haiñ nok-e-sināñ ne bhī zā.iqe kyā kyā
taḌap ke ruuh zamīñ-bos ho ga.ī varna
badan-chaTān pe uThte the zalzale kyā kyā
ḳhirad qarār jo paa.e to ham bhī dekheñge
haiñ intishār ke dāman meñ mas.ale kyā kyā
tirā ḳhayāl kisī sā.ebāñ se kam bhī nahīñ
lagāte rah ga.e sūraj bhī qahqahe kyā kyā
shikasta ḳhvāboñ ke jab āsmān khulte haiñ
bikharte naqsh bhī dete haiñ hausle kyā kyā
abhī bhī ghar ke larazte hue charāġhoñ se
havā-e-shab ne lagā.e haiñ āsare kyā kyā
tapish meñ TuuT ke patte bikhar ga.e 'āmir'
nazar ke paañv meñ uThte haiñ aable kyā kyā