ta.alluqāt  ke  saare  diye  bujhe  hue  the
ajiib  haal  thā  jab  un  se  rābte  hue  the
hamāre  aks  ke  pahlū  se  ho  ga.e  ḳhā.if
hamāre  sāmne  jo  ḳhud  ke  ā.īne  hue  the
nigāh  raat  kā  ziina  talāsh  kartī  rahī
sulagte  ḳhvāb  kisī  taaq  par  rakhe  hue  the
ḳhushī  milī  to  masāfat  kā  ġham  bhulā  baiThe
go  rāh-e-zīst  pe  yuuñ  kitne  aable  hue  the
vo  tīrgī  kā  lahū  thā  ki  chāñdnī  kā  surūr
sahar  ke  naam  ka.ī  zā.iqe  likhe  hue  the
mire  vajūd  ko  taqsīm  kar  diyā  sab  ne
zamīñ  ke  jism  pe  kuchh  aise  sānehe  hue  the
barāh-e-rāst  kisī  kā  nishāñ  nahīñ  'āmir'
so  falsafe  dar-o-dīvār  par  saje  hue  the