shab ko jab yūrish-e-vijdān meñ aa jaate haiñ
tīrgī ham tire aivān meñ aa jaate haiñ
jab nazar uThtī hai āvāz ke mīnāroñ par
zāviye dīda-e-hairān meñ aa jaate haiñ
kuchh havā.eñ bhī uḌā lā.īñ nishān-e-nisyāñ
kuchh sitāre mire dāmān meñ aa jaate haiñ
tazkira hone lagā zabt kī mehrāboñ pur
shor-e-talḳhvish mire kaan meñ aa jaate haiñ
aa.ine manzar-e-shab-tāb liye phirte haiñ
zalzale chashm-e-bayābān meñ aa jaate haiñ
baḌh ke ab dastak-e-āvāz lagāo 'āmir'
dar darīche had-e-imkān meñ aa jaate haiñ