Amir Nazar

ab to lafzon ke taqazon ka bharosa na raha

Amir Nazar

Patna, Bihar, India

1990
ab to lafzoñ ke taqāzoñ kā bharosa na rahā
ik sivā tarz-e-ḳhamoshī ke asāsa na rahā
aaj nādīda sitāroñ ne qabā.eñ baḳhshīñ
āsmāñ terā badan ab to barahna na rahā
kitne sadiyoñ kī thakan tū ne sameTī hai zamīñ
phir bhī chehra tirā is haal meñ utrā na rahā
jism-e-āshufta ne sailāb sambhāle kitne
haal kyuuñ aisā huā haath meñ qatra na rahā
ai shab-e-tīra-badan ye to pareshānī hai
terī shah-rag kā lahū aañkh meñ zinda na rahā
muntashir ho ga.e aivān-e-tafakkur 'āmir'
ya.anī arshānī-e-imkān kā ziina na rahā
Top Urdushayar.com