Amir Nazar

chshme-e-be-kaif mein karinda-e-manzar na raha

Amir Nazar

Patna, Bihar, India

1990
chshme-e-be-kaif meñ kārinda-e-manzar na rahā
tishna-lab ḳhvāb rahā surḳh samundar na rahā
tīrgī rañg-e-tilismāt ko oḌhe aa.ī
marhala ye bhī dabe ḳhauf ke bāhar na rahā
ajnabiyyat kā tamāsha na ho kaise uryāñ
dīda-e-shiddat-e-ehsās barābar na rahā
koī lamha to sukūt-e-shab-e-ġham Thahre bhī
vādī-e-surḳh meñ ab dard kā lashkar na rahā
tishnagī zor-e-talab-tāb se bol uThī hai
chand qatre hī sahī koī shanāvar na rahā
thī shikan lamha-e-maujūd kī peshānī par
phir bhī māyūs qad-e-pā-e-payambar na rahā
ek bhī buuñd kī qurbānī bahut thī 'āmir'
koī āsār-e-hayāt abr-e-ufuq par na rahā
Top Urdushayar.com